Rohani Ilaj

Rohani Ilaj

Rohani Ilaj
Rohani Ilaj

Zindagi mein kabhi kabhi aise mazaher samne aate hain jahan dunya-vi asbab aur dawaiyan kaam nahi kartin. Aise halaat mein insaan ko Allah ki kalam aur Read More ki taraf ruju karna parta hai. Rohani Ilaj dar-asal Allah ke pak namon aur Quran-e-Kareem ki ayati mubarika se shifa hasil karne ka ek sharai zariya hai.

Har Tarah ki Mushkilat se Nijat ka Powerful Wazifa

Sub se poehle ye bat Zehan nasheen kr lein ke zindagi mein baaz auqat aise sakht halat aa jatay hain jab insan charon taraf se mayoosi ka shikar ho jata hai. Aise mein Allah ki rehmat ko pukarana hi kamyabi ki wahid raah hai.Jab dunya ke saaray darwazay band nazar aane lagen, to Allah ki siffat “Hayyu” (Hamesha zinda rehne wala) aur “Qayyum” (Sab ko qayam rakhne wala) ko pukarana har mushkil ka hal ban jata hai. Ye wazifa na sirf pareshaniyo ko khatam karta hai balkay rizq aur sukoon ke band darwazay bhi kholta hai.

Bimariyon se Shifa ke liye Quranic Dua aur Rohani Ilaj

Anbiya-e-Karam ne bhi mushkil waqt mein Allah se dua ki. Agar aap ya aap ka koi pyara beemar hai, to Hazrat Ayub (A.S) ki ye dua shifa ka zariya hai:

أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنْتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ

Rohani Ilaj
Quranic Dua aur Rohani Ilaj

Rohani Ilaj ke Zaruri Adaab aur Qabooliyat ki Sharait

Is ke ilawa aur wazaif ki misal aik aisi chabi ki tarah hai jo tabhi kaam karti hai jab us ke dandaane (teeth) sahi hon. Sirf alfaz parh lena kafi nahi hota, balkay un ke asrat zahir hone ke liye kuch sharait ka pura hona lazmi hai.Lekin agar aap chahte hain ke aap ki dua qabool ho aur wazifa fori asar dikhaye, to darj zail adaab ka khas khayal rakhen:

1. Rizq-e-Halal aur Sachai

Rohaniyat ki bunyad pakizgi par hai. Agar insan ki kamai mein haram shamil ho ya wo jhoot bolne ka adi ho, to us ke zikar aur duayon mein wo taseer baqi nahi rehti. Halal rizq rohani quwwat ko jala deta hai aur dua ki qabooliyat ka rasta kholta hai.

2. Namaz ki Pabandi

Namaz rohani ilaj ka sab se bara sutoon (pillar) hai. Be-namazi shakhs agar hazar bar bhi wazifa parhay to usay wo barkat hasil nahi hogi jo aik namazi ko milti hai.yaad rakhein Panch waqt ki namaz jism aur rooh ko pak karti hai, jis se amal mein tezi aati hai.

3. Yaqeen-e-Kamil (Firm Belief)

Wazifa karte waqt dil mein zara barabar bhi shak nahi hona chahiye. Agar aap “azmane” ke liye parhenge to faida nahi hoga. Ye mukammal yaqeen rakhen ke shifa aur mushkil ka hal sirf aur sirf Allah ke hath mein hai aur wo apne kalam ki barkat se meri faryad zaroor sunay ga.

4. Tawajjo aur Dil Jami

Zuban se wazifa parhte waqt agar dhiyaan kahin aur ho, to wo amal be-jaan hota hai. Rohani ilaj ke doran poori tawajjo Allah ki taraf honi chahiye. Tanhai mein baith kar, dil ki gehraiyon se ki gayi dua radd nahi hoti.

Rohani Ilaj ke Bare mein Aksar Puche Janay Wale Sawal (FAQs)

  • Sawal: Kya Rohani Ilaj ke sath doctori dawa zaroori hai?
  • Jawab: Bilkul, Islam mein dawa aur dua dono ka hukam hai.

Zehni Sukoon ke liye Rohani Amal

Aaj ki is bhag dor bhari zindagi mein har dusra shakhs zehni dabao,Zehni Be-chaini aur depression ka shikar hai. Psychological research ke mutabiq zehni be-sakooni insan ki jismani sehat ko bhi tabah kar deti hai. Zehni sukoon ke liye rohani ilaj se behtar koi rasta nahi, kyunke Quran-e-Pak mein irshad-e-bari taala hai: “Beshal Allah ke zikar mein hi dilon ka itminaan hai.” (Surah Ar-Ra’d).

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Online istikhara
Rohani ilaj
Pasand ki shadi

X